Khaamosh hai Chaandnee Qamar ki
ShaakhaiN haiN kh’mosh har shajar ki
Waadi kay nava farosh Khaamosh
Kohsaar kay sabz posh Khaamosh
Fitrat Bay Hosh ho gaii hai
Aaghosh maiN shub kay sau gaii hai
Kuch aisa sukoot kaa fasooN hai
Negar kaa kharaam bhi sukooN hai
TaaroN kaa Kh’mosh kaarvaaN hai
Ye Qaafla bay dara rawaaN hai
Khaamosh haiN koh-O-dusht-O-dariya
Qudrat hai Muraaqbay maiN goya
Aye Dil! Tu bhi Kh’mosh ho jaa
Aaghosh maiN ghum ko lay kay so jaa
Iqbal