Aik Sawal

Merai aba-o-ajdad nai khormatai admi kai liye
ta abad roshni kai liye
kalma-i haq kaha
maqtaloon, qaidkhanoon, saliboon mein bahta lahoo
un kai honai ka ilan karta raha
woh lahoo khormatai admi ki zamanat bana
ta abad roshni ki alamat bana
aur mein pa barhana sarai kuuchai ikhtayaj
rizaq ki maslahat ka asir admi
sochta rah gaya
jism mein merai un ka lahoo hai to phir yeh bolta kyon nahin?

By: Iftikhar Arif