*aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah
jism sulga hai teri yaad mein eindhan ki tarah
loriyaan de hain kisi karb ki khuwaish ne muje
kuch jawani k din bhi guzre hain bachpan ki tarah
es bulandi se muje toune nawaza kiyon tha
gir k main to’ot gaya kanch k bartan ki tarah
muj se miltey hoye yeh baat tou sochi hoti
main tere dil mein samma jaon ga dharkan ki tarah
muntazir hai kisi makhsoos si ahat k liye
zindagi baiti hai dehleez pe barhan ki tarah*
Kisi ke paas ye ghazal mausiqi main hai kya.?.Agar hai tau pls upload ker do