Sab ko maaloom hai kai jinn kaee roop ikhtiar kar saktay hain…Un ko Allah nai yeh khoobi di hai…Hamain maaloom nahin hota kai kab, kahan hamain mil jaaien..
Aik dafa ka zikar hai, kissi taaq raat main mere mohallay ki Jamaa Masjid main mere do teen dost namaz parhnay gaye…Raat bhar wahan rukay rahay aur beech raat ko socha kay ab ghar jaa kar ibadat karaingai…
Khair, saaray Masjid kay darwazay par ikkhatta huay aur saath apnay gharon ki taraf rawana huay…
Thorhi door par aik kachray ka dhair tha jis kay saamnay sai mere dost chaltai huay jaa rahay thay…Wahan, us kachray ke dhair par aik kaali billi idhar udhar soongh kar kuch kha rahi thi…
Mere aik dost nai us ki taraf dekha aur doosray doston sai kaha, “yaar dekh, Allah apni makhlooq ko kahan kahan sai rizq deta hai…”
Is par billi nai aik dum sai in ko dekhna shuru kia…
Doosray dost nai us billi ko dekh kar piyar sai bola, “manu billi, kia apna rizq khaa rahi hai?”
Billi palat kar jawab deti hai, “Haan…Tere baap ka thorhi kha rahi hoon…”
My friends reached home faster than they had ever done before…
is Billi ka zikker or yeh jawan tere baap ka thore kha tahore kha rahee hooon KARACHI main bohat zyada mashoor hoa tha lakin her kissi nay alag alag kahanee sunayee thee
zyada logoon nay yeh waqya LAL QILA resturent main batya tha
or baz logoon ka kehna woh aaine shaid hain or yeh sucha waqiya hay
is Billi ka zikker or yeh jawab tere baap ka thore kha tahore kha rahee hooon KARACHI main bohat zyada mashoor hoa tha lakin her kissi nay alag alag kahanee sunayee thee
zyada logoon nay yeh waqya LAL QILA resturent main batya tha
or baz logoon ka kehna woh aaine shaid hain or yeh sucha waqiya hay
haan such bol rahee hoon mere behnoyee ka kehna kay yeh waqiya un kay friends kay sath bruns Road per koi hotel hay wahan hoa tha agay allah behter jantay hain
about my hijab
didnt u read title under my nick
Face underconstrustion ...
ab dobara mere avatar nahi dekhna werna neend nahi aye gee