**
Aik patthar ko yoon Khuda karkey
Kya mila aisa tajurba karkey
Dard barhta gaya davaa karkey
Lamha-lamha, zara-zara karkey
Ban gaye badua Khushi woh hi
Jis ko maanga kiye dua karkey
ZaKhum khaaye barey baray hum ne
Uss sey choti si ilteja karkey
Zindagi aazmaye ji bharkey
Hum bhi nikle hain hosla karkey
Raastay main yaqeen mila lekin
Wo bhi jaata raha dagha karkey
Sirf yaadien hi humne paayi hain
Bhool jaane ka faisla karkey
Usski raahoon ka rukh agar karna
ZaKhum khaane ka hosla karkey
Yaad rakhna bhalai auroon ki
Bhool jaana magar bhalaa karkey!!
**
Re: Aik patthar ko yoon Khuda karkey…!!
beautiful
nice one :k:
ASA
June 7, 2004, 7:14pm
3
hmmm lamhay… bouhat khoob… :k:
Azad
June 7, 2004, 7:17pm
4
aik to iss larki ka rona khatum nahi hota
Simply, a beautiful choice to share....
Thanks ** Lamhey **
Thanks for sharing such a wonderful and touchy selection Lamhay ...
*
Jab se gaye tum aankh mein nami si rahi
Kuch dil udaas hai aur kuch san'naatta bhi muheeb thaa
Kismat ka khail ajeeb hai ke bharosa kiya thaa jis per
Saray fasaanay mein aik wohi rakeeb thaa ...*
Lamhay
June 8, 2004, 11:45am
11
Thanks Ace Ones, as sweet as, azad, HH, pramod ,koyal, koi dost , Anwaar qureshi and
Zawan fira!
Lamhay
June 8, 2004, 11:46am
12
Lolzzzzzzzzzz :nahnah:
Tum ko bari fikar hai azad jo thehray…
Azad
June 8, 2004, 12:25pm
13
Aray Jan e GS Karaylay kahan hum or kahan Fikar khair aap nay rotay rotay hanssna seekh liya barri baat hay.
Lamhay ...
I would like to request you to please continue sharing your marvellous and touchy selection with us ... !
[font=comic sans ms]
nice selection lamhay:flower1:
Whatta sharing Yunno you are the best heheheee
Lamhay
June 9, 2004, 6:50pm
20
Haye allah Jaan e Gs ? Karayla bhi jaan e gs hogaya lolzz
haan g ap beyfikar hum ko barii fikar