[INDENT]Aik pal ko main bhi shashdar-o-hairan reh gayi
woh ja chuka to jism main kiyun jaan reh gayi
mujh ko to us ghari bhi tera aitebaar tha
jab aakhri umeed bhi mehmaan reh gayi
bichra hai jab se yaad bhi kam a raha hai woh
ye zindagi to aur bhi asaan reh gayi
abaad thi main tere nishan ke qadam talak
jab tu guzar gaya to main sunsaan reh gayi
tu ne hunar ke saath mitaya kahan mujhe
mujh main to tere aks ki pehchaan reh gayi
ye sham bhi buhat hai teri nisbaton ke saath
jo dil main le ke wisl ka imkaan reh gayi
[/INDENT]