us ke tevar bol rahe hein khoon bahana baaqi hai
our abhi to shehroon shehroon aag lagana baaqi hai
jin ko tum ne loot liya hai hijrat ker ke jaain kahan
ab to un ka ghar baaqi na koee thikaana baaqi hai
chaaron taraf se dunya bhar ke waar abhi to sehna hai
our abhi aamaal ka apne qarz chukana baaqi hai
us ne sab kuch loot liya hai par us ko maaloom nahi
apne ghar mein naam-e-khuda ka aik khazana baaqi hai
jitne too ne paap kiye hein sab ka jour hai us ke paas
yaani ab mezaan se teri umar ghatana baaqi hai
insaanon ka khoon ho arzaan ya rab aisa waqt na aae
log kamanein kheench chuke hein, teer chalana baaqi hai