aina say fursh per
tooay badun ka aks
adhay chand ki soorat laruzta hay
hawa kay voilin ki nurm moseeqe
khunk tarekiyoan main
chahnay walon ki surgoshe ki surat beh rahe hay
aur hajuma-e-nashnan say paray
nisbatun kum bolte tunhaye main
ajnabi sathi nay meray dil ki weerane ki maatha chum ker
mujh ko thama hua hay
jaisay meray saray dukh us kay shanoan kay liyae hain
donoan ankhian bund er kay
main nay bhe in bazuoan per thuk ker yun sir rukh diya hay
jaisay gurbat main achanuk chaon pa ker
rah gum gushta musafir pair say sir taik day
khwab surat roshni
aur saaz ki dildar lay’
us ki sansoan say guzar ker
meray khun ki gurdishoan main subz taray bo rahe hay
raat ki ankhoan kay doray bhe gulabe ho rahay hain
us kay seenay say lage
main kanwal kay phul ki wariftage say
sir khushi ki jheel per ahista ahista qadum yun rukh rahe hun
jaisay meray paun kuchi neend main hoan
aur zara bhare qadum rukhay to pane toot jayae ga
shikusta rroh per say ghum kay saray perahun
aik aik kur kay utaurtay ja rahay hain
lumha lumha
main zameen say dur hote ja rahe hun
ab hawa main paun hain
ab badloan per, ab sitaroan kay qareeb
ab sitaroan say bhe uper
aur uper–aur uper–aur–!
nice:k:
Very nice and touchy.....
Very nice!!
Aisey shoulders kahan say miltay hain kay jin per ser tika ker insan sab kuch bhool jata hay?
Shani~~
thanx. :)
thanx Shani. :) aap kay sawal ka jawab meray pass nahin hay.
[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
thanx Shani. :) aap kay sawal ka jawab meray pass nahin hay.
[/QUOTE]
bhai Dilsay say pochain ..... us ka pass shayd ho aap ke sawal ka jawab
aap jo farigh hain. aap he bata dain
[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
aap jo farigh hain. aap he bata dain
[/QUOTE]
khud hi keh rahi ho.. hum farigh hain .....
Dilsay theek rahay ga sawal jawab ke liay
kyun aap ko kisi nay mana kiya hay.
[QUOTE]
*Originally posted by ameen: *
kyun aap ko kisi nay mana kiya hay.
[/QUOTE]
Doctor nay
Soo beautiful :k::k:
thanx Viv
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
khud hi keh rahi ho.. hum farigh hain .....
Dilsay theek rahay ga sawal jawab ke liay
[/QUOTE]
Sawal kiya tha?
Doctor hummm hay to