**wo ek phool tum ne
jo mujh ko diya tha
mohabbat ki khushboo main bheega hua tha
aur ulfat kay rungoN main dooba hua tha
meray paas aaker,
meray kaan main phir
mujhay yaad hay tum nay jo kuch kaha tha
Mujhay yaad hay,
mujh say tum nay kaha tha
keh us phool kay rung nikhray na hotay
parinday kaheeN bhi chehaktay na hotay
fazaa-oN main khushboo mehkti na hoti
saba saahiloN per lehakti na hoti
sitaaray falak per chamaktay na hotay
keh main jo na hoti,
to tum bhi na hotay
qasam khaa kay us phool ki tum nay mujh say
mohabbat nibhaanay ka waada kiya tha
Wahi phool, jis ki qasam khaa rahay thay
wo phool aik arsay say sookha hua hay
kitaab-e-mohabbat main rakha hua hay
maiN sookhi hui pattiyoN ko musalsal
takay jaa rahi hooN,
takay jaa rahi hooN
wo sookhi hui pattiyaaN bhi to mujh say
kahay jaa rahi haiN,
kahay jaa rahi haiN
TumhaiN mujh say itni mohabat nahi thi
keh jitni mohabbat ka daawa kiya tha**