Salam Dosto!
Aap ki khidmat mein “Nasir Kazmi” ki aik nazam or uski parody pesh ker raha hooN, apni araa say zuroor nawazie ga.
Parody kay saath original nazam bhi likh raha hooN, keonkeh jab tak asal nazam na paRhi jaye, parody ka mazah nahi aata.
(Original Nazam by Nasir Kazmi)
ik baat kahon gar sunte ho…
tum mujh ko achay lagte ho…
kuch chanchal say kuch chup chup say…
kuch pagal pagal lagte ho…
hain chahne wale aur bohat…
per tum mein hai ik baat bohat…
tum apne apne lagte ho…
ik baat kahon gar sunte ho…
tum mujh ko achay lagte ho…
yeh baat baat pe kho jana…
kuch kehte kehte ruk jana…
yeh kis uljhan mein rehte ho…
kya baat hai hum say keh dalo…
ik baat kahon gar sunte ho…
tum mujh ko achay lagte ho…
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
(Parody by ME)
Ik baat kahon ger suntay ho
Tum keon nahi mujh say dertay ho
Gher akser der say aatay ho
Phir khaali haath bhi aatay ho
Koe saaRhi, suit ya lip stick hi
Mere lie la nahi saktay ho
Ik baat kahon ger suntay ho
Tum keon nahi mujh say dertay ho
Na chaye theek say banti hay
Na khana dhang say pakta hay
Na bertan saaf hi dhultay hain
AnDah tak tal nahi saktay ho
Ik baat kahon ger suntay ho
Tum keon nahi mujh say dertay ho
Hain thane daar mere daddy
Chhay bhai bhi hain, chhay chhay foot kay
Jab un kay haath say piTtay ho
Phir reen reen, reen reen kertay ho
Ik baat kahon ger suntay ho
Tum keon nahi mujh say dertay ho
Waqt dene ka shukria.
Hasan