-
Ik din kissi makRi say yeh khenay lagaa makRaa
Iss rah say hotaa hai guz’r roz tumhaaraa -
Laikin meri kuTTiyaa kee naa jaagi kabhi Qismat
Bhoolay say kabhi tum nay yahaaN paaouN naa rakhaa -
GhairouN say naa miliye tau koie baat naheeN hai
ApnouN say magar chaahiye youN khiNch kay naa rehnaa -
Aao jo meray ghar maiN tau izzat hai yeh meri
Woh saamnay seeRhi hai jo manzoor ho aanaa -
Makhi nay sunni baat jo makRay kee tau boli
Hazrat! kissi naadaaN ko dijiye gaa yeh dhokaa -
Iss jaal maiN makhi kabhi aanay kee naheeN hai
Jo aap kee seeRhi pay chaRhaa phir naheeN utraa -
MakRay nay kaha: Wah Farebi mujhay samjhay
Tum saa koie naadaaN zamaanay maiN naa hogaa -
Manzoor tumhaari mujhay khaatir thee, wagar naa
Kuch faaidah apnaa tau miraa iss maiN naheeN thaa -
URti huvee aaie ho khudaa jaanay kahaaN say
TheRo jo mairay ghar maiN tau hai iss maiN buraa kiyaa? -
Iss ghar maiN kaiee tum ko dikhaanay kee haiN cheezaiN
Baahir say nazar aataa hai choTi see yeh kuTTiyaa -
LaTkay huvay darwaazouN pay baareek haiN parday
DeewaarouN ko aainsay say hai maiN nay sajaayaa -
MehmaanouN kay aaraam ko haazir haiN bichonay
Har shakhs ko saamaaN yeh mayassar naheeN hotaa -
Makhi nay kahaa: Khair! yeh sub theek hai laikin
MaiN aap kaay ghar aaouN, yeh umeed naa rakhnaa -
Inn nar’m bichonouN say Khudaa mujh ko bachaaye
So jaaye koie inn pay tau phir uTh naheeN saktaa -
makRay nay kahaa dil maiN, sunni baat jo uss kee
phaaNsooN issay kiss tarah yeh kambakht hai daanaa -
Sau kaam khushaamad say nikaltay haiN jahaaN maiN
Dekho jissay duniya maiN Khushaamad ka hai bandaa
(No offence to some people at Gupshup :D) -
Yeh soch kay Makhi say kahaa uss nay BaRRi Bee
Allah nay bakhshaa hai baRaa aap ko rutbaa -
Hoti hai ussay aap kee soorat say mohabbat
Ho jiss nay kabhi aik nazar aap ko dekhaa -
AankhaiN haiN kay heeray kee chamakti huvee kanniyaN
Sar aap kaa Allah nay kalghi say sajaayaa -
Yeh hus’n, yeh poshaak, yeh Khoobi, yeh safaaie!
Phir uss pay Qiyaamat hai yeh uRtay huvay gaanaa -
Makhi nay sunni jub yeh khushaamad tau paseeji
Boli kay naheeN aap say mujh ko koie khaTkaa -
Inkaar kee aadat ko samajhti hooN buraa maiN
Such yeh hai kay dil toRnaa achaa naheeN hotaa -
Yeh baat kahi aur uRi apni jagah say
Pass aaiee tau makRay nay uchal kar ussay pakRaa -
Bhookaa tha kaiee roz say ab haath jo aaiee
Aaraam say ghar beTh kay makhi ko uRaayaa
Poet of the East, Hakeem-ul-Ummat Dr. Sir Muhammad Allama Iqbal :rehm: