Loved it..
Ek Lamha Lagta Hai
Zindagi ki raahoon mein
Ek lamha lagta hai
Dil kisi pe aanay mein
Ek lamha lagta hai
Mujh ko bhi mila thaa woh
Jis ko dekhtay hi dil
Be-tahaasha dharka thaa
Mujh se keh raha thaa woh
Tum se pyar hai mujhe ko
Muskura ke mein ne bhi
Phool le liya us se
Haath, haath mein le kar
Pyar ke ata-karda
Aasmaan per hum donoo
Chaahatay thay sath urrna
Aasmaan per jeewan bhar
Koi urr saka hai kya … ?
Haath, haath se choota
Ek kinaara jo toota
Tab khabar huwi mujh ko
Ek lamha lagta hai
Dil ke toot jaane mein
Aur
Ek umer lagti hai
Kircheyaan uthaanay mein …