AIK LAMHA LAGTA HAI
Zindagi ki raahon main
aik lamha lagta hai
dil kissi pay aanay main
Mujh ko bhi mila tha
Woh jiss ko deekhtay hi dil
baytahasha dharakata tha
mujh say keh raha tha woh
tum say payaar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi phool lay lieya uss say
haath haathoon main lay kar
payaar ki khaata karde,
Aasmaan pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasmaan pay jeewan bhar koi urr saaka hay kia???..
haath haath say choota
ek sitara jab toota
tab khabar howe mujh ko
ek lamha lagta hai
dil ko toot janay main
Aur umer lagti hai
kirchiaan uthanay main!!!..