Aik kamra-e-imtehan

Re: Aik kamra-e-imtehan

Hujra-e-imtihaan aur gosha-e-imtihaan sirf shaerana nazar aata hey. Kisi talib-e-ilm ko ye kaha gaya to wo pata nahi kahaN chala jaey ga :smiley: Kamra-e-imtehaaN ja-ba’ja maaroof shora ney istimaal kia hey aur ghalat-ul-aam hi sahi, lekin ye aek intehaai maaroof murakab lafz hey. Is tarha aap kamra-e-adaalat ka kya kareiN ge? KahaN, kahaN aur kya kya theek kareiN ge. “Zubaan-e-khalq ko naqaara-e-Khuda samjho” :slight_smile:

Ye to aap ney khalisan nawaaboN waali baat ki hey :frowning: Agar is behas ke sadqey sey aap ke beish-bahaa ilmi khaazaaney sey aek, aadh moti hum logoN ke hissey meiN aa jaey, to hazrat kya muzaeqa hey? Khud aap ko is ki jazaa dey ga. Ilm baaNtney sey barrhta hey :slight_smile: