[thumb=H]boond4525_5854720.JPG[/thumb]
**
Aik ghum ke siwa is duniya main
ab aur hamara koi naheen
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main
…
is dil ki kashti maujoon main
doobay gi phir doobay gi
nadiya hai kinara koi naheen
toofan hai sahara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main
…
raat andheri ghum ke sayee
kalay badal teiz hawa
aik andhera chaya hai
aur chaand sitara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main
…
dil raakh huwa barbaad huay
aur aag lagi deewaroon main
is ghar main akailay baithay hain
aur saath tumhara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main
ab aur hamara koi naheen
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main…!!
** ( Well Sung By Sajjad Ali )
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
[thumb=H]fenixnew217759_3227328.JPG[/thumb]
Re: Aik Ghum Kay Siwa…!!
**waqt guzar jaata hai
rasta rasta bikhri aankhain reh jaati hain
**
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
waqt guzar jaata hay
rasta rasta bikhri
aankhain reh jaati hain
waqt guzar jaata hay
shama' ghul jaati hay, khuwahish rul jaati hay
piyaar tarazu mai
aik nazar badlay, dunya tul jaati hay
matti mai uljhi
yaadain reh jaati hain
sailaab utar jaata hay
waqt guzar jaata hay
sangat bailon ki, piyaar kay khailon ki
log badalnay say
ik aan nahi ghaTti, yeh ronaq mailon ki
tanha tanha bujhti
sham'ain reh jaati hain
aur shu'la mar jaata hay
waqt guzar jaata hay
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
^^ strange ........
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
aur saath tumhara koi naheen
Aik ghum ke siwa is duniya main
ab aur hamara koi naheen
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
so true said ... :(
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
thanks Gs and Zf!
Re: Aik Ghum Kay Siwa…!!
this song made me cryyyyyy
waye nice
tab dil ke saharay thay kiya kiya
ab dil ka sahara koi naheen
Re: Aik Ghum Kay Siwa…!!
boht khoob :k:
Re: Aik Ghum Kay Siwa…!!
thx for sharing lamhay ![]()
is raah-e-muhabbat me.n tuu saath agar hotaa
har gaam pe gul khilate Khushbuu kaa safar hotaa
Re: Aik Ghum Kay Siwa.........!!
i love this track at the mo. it suits my life!!
by sajaad alis sings it sooooooooooooooooo well!
and like HAMMAD, i too want to cry!!!