*Gum apni mohabbet main donoo, nayab ho tum, nayab hain hum
Kiya hum ko khuli aankhain daikhain, ik khwab ho tum, ik khwab hain hum
Kiya mehshur khaiz judaii hai, kiya wisl qayamut ka hoga
Juzbaat ka ik sailaab hi tum, juzbaat ka ik sailaab hain hum
Ik huns puaani yaadooN ka baitha howa kunkur chunta hai
Tapti howi hijur ki ghuriyooN main sookha howa ik tailaab hain hum
Aik waqt talatum-khaiz hain hum, gurdish main tumhey bhi ley lain gay
Is waqt na tair ay kashti-e-dil is waqt tu khud girdaab hain hum
**Ay chushm-e-falak, ay chushm-e-zameeN, hum loog tou phir aaney k nahi
Do chaar ghurri ka sapna hai, do chaar ghurri ka khwab hain hum… ***