ussay brishon nay chura lya k woh badlon ka makeen tha
kabhi mur k yeh bhi to dekhta k mera wajood zameen tha
wohi aik shakhs tha aur uss k baad sari tuhmatain jhoot hain
meray dil ko pora yaqeen hai woh mahabbaton ka ameen tha
ussay shok tha kisi jazeeray par uss k naam ka koi phool ho
mujhay pyar karna sikha gaya mera dost kitna zaheen tha
kabhi sahilon pay phiro gay to tumhain sipiyan yeh batayengi
meri ankh main jo simat gaya wohi ashk sab say haseen tha