khanak khanak meri poroon ko khaak kardayga
wo lams meray badan ko gulaab kardayga
qabay-e-jism k har taar say guzarta hua
kiran ka pyar mujhay aftaab kardayga
junoo pasand hai dil aur tujh tak anay main
badan ko naaoo, lahoo ko chanaab kardayga
main such kahongi aur phir bhi haar jaongi
woh jhoot bolayga aur lajawab kardayga
issi tarah say agar chahta raha payhum
sukhanwari main mujhay intikhab kardayga
meri tarah say koi hai jo zindagi apni
tumhari yaad k naam intisaab kardayga