Asalam u Alaikum ! hOEZ ya all ma frndz hope Fi9 by The Blessings of ALMIGHTY ALLAH ! bohat din baad phir aik ghazal share karnay ko jee chaha so chala aya umeed hai apko pasand aaye gi ! to suniye …
Badan main barf boti jaa rahi hai
Ye chaahat sard hoti jaa rahi hai
Meri tanhaiyon ki palkoon pe jugnu
Teri nafrat pirooti jaa rahi hai
Sahay gi aarzu ki bail kaisay
Hawa be dard hoti jaa rahi hai
Kabhi jo thi gulaabon si rifaqat
Woh ab kaantay chubhotii jaa rahi hai
**Kisi bichray huay ki yaad kab se
Mere kamray main rooti jaa rahi hai **
**Chalaknay do abhi aankhain SHABANA
Ye baarish zakhm dhooti jaa rahi hai **
chalta hon khush rahiye Amin
**BeInG lOnEly !! sId !!
**