Woh meri piyaas bujha geya, par woh tishnagi ko barha geya
Merey dard-e-dil ko ubhaar kar meri wehshaton ko jaga geya
Kaha kis qadar sakoon say tujhay chor jaoonga aik din
Usay kia khabar keh woh is tarha.n meri dharkano ko hilla geya
Merey dil ki taarang ko chair kar fiza main usko bikhair kar
Kisi nagham-e-bahar say meri zindagee ko saja geya
Woh jo dil say apnay qareeb thaa, hamain jaan say barh kay aziz thaa
Sabhi pur khaloos wafaeen theen jinhain chutkiyon main uraa geya
Nahi jaanta hey yeah chara gar, yeah dilo.n kay soday hain bekhaber
Jisay thori thais bhi lag gaee woh mata-e-dil ko lutta geya
Woh hamee.n thay jin say theen ronaqain kabhi mehfilo.n kee arooj per
Yeah hameen hain jinko lagay hay yoon koi saanp jesay sunghaa geya
![]()