fara
January 20, 2011, 3:22pm
1
*****Pakistan kay Maujooda Haalaat pay kahay gaiae Kuch Ashaar.........*****
***by Ishtiaq Mir on Monday, 17 January 2011 at 16:50
Ghar kay badlay howay haalaat say dar lagta hay…
Zindagee ab tiree auqaat say dar lagta hay…
Jis say milyai wo he uljah howa aata hay nazar..
Mujh ko loagoan kay khayalaat say dar lagta hay…
Chulha phatnay say dulhan aaj bhi jal jaatee hay…
Aaj bhi aaj kay haalaat say dar lagta hay…
Kis ko maaloom hay kal kis ka janaaza utthay…
Peer e Landan ki hidayaat say dar lagta hay…
Ik zara baat pa rishtoan mai khalal aata hay…
Bas yehee sooch kay her baat say dar lagta hay…
Dushmanoo say toa bacha sakta hoon mai apna wujood…
Mir apnoa ki inaayaat say dar lagta hay…
Re: Aik ghazal; Pakistan kay liyee...
so true
nice one
Amal
January 20, 2011, 3:36pm
3
Re: Aik ghazal; Pakistan kay liyee…
Sashi dedication ki hey aap ney fara ji :k: …
Re: Pakistan kay liyee…
*****Pakistan kay Maujooda Haalaat pay kahay gaiae Kuch Ashaar.........*****
***by Ishtiaq Mir on Monday, 17 January 2011 at 16:50
Ghar kay badlay howay haalaat say dar lagta hay…
Zindagee ab tiree auqaat say dar lagta hay…
Jis say milyai wo he uljah howa aata hay nazar..
Mujh ko loagoan kay khayalaat say dar lagta hay…
Chulha phatnay say dulhan aaj bhi jal jaatee hay…
Aaj bhi aaj kay haalaat say dar lagta hay…
Kis ko maaloom hay kal kis ka janaaza utthay…
Peer e Landan ki hidayaat say dar lagta hay…
Ik zara baat pa rishtoan mai khalal aata hay…
Bas yehee sooch kay her baat say dar lagta hay…
Dushmanoo say toa bacha sakta hoon mai apna wujood…
Mir apnoa ki inaayaat say dar lagta hay…
Very Nice Jo bhe hai Pakistan apna he hai
Re: Aik ghazal; Pakistan kay liyee...
v nice Farah...good sharing.
fara
January 20, 2011, 4:09pm
6
Re: Aik ghazal; Pakistan kay liyee...
Thanks everyone...
Re: Pakistan kay liyee…
pakistan apna he hai per usmain hone wale halaat yaqeenan apne nhi
Re: Pakistan kay liyee…
Haan yeh baat to sach hai (
Halaat bhut he kharab hai
KKF
January 20, 2011, 4:25pm
9
Re: Aik ghazal; Pakistan kay liyee...
**Harf ba Harf soorat e Haalaat aur Khayaalaat kii tarjmaan hai yeh Ghazal. Allah hamaare aur Pakistan ke Haalaat bahtar kare aameen...par usse pahle hameN Khud ko durust karnaa hogaa.
haath par haath dhare muntazir e farda
nahiiN rah sakte. maiN to jab jab 'allaamah Iqbaal kaa "jawaab-e-shakwa" paRhtaa huN to mujhe vohii sab huu ba huu nazar aataa hai.
vatan kii fikr kar naadaaN! museebat aanewaali hai
terii barbaadiyoN ke mashvare haiN aasmaanoN meN
na samjhoge to miT jaaoge, ai Hindostaan waalo**
tumhaarii daastaan tak bhii na hogii daastaanoN meN
** [pre partitioned India that included Pakistan]**