Jhuki Jhuki si nazar…bay qarar hay kay nahi…
daba daba sa sahi dil main piar hay kay nahi
jhuki jhuki si nazar…
tu apnay dil ki jaga dharkanon ko gin kay bata
meri tarah tera dil bayqarar hay kay nahi
daba daba sa sahi dil main piar hay kay nahi
jhuki jhuki si nazar…
wo pal kay jiss main mohabbat jawaan hoti hay
ussay aik pal ka tujhay intaizaar hay kay nahi
daba daba sa sahi dil main piar hay kay nahi
jhuki jhuki si nazar…
teri ummed pay thukra raha hoon dunnia ko
tyjhay bhi apnay pay hi aitabaar hay kay nahi
daba daba sa sahi dil main piar hay kay nahi
jhuki jhuki si nazar…