Aik Geet Harr Roaz -- A Song A Day

Oka friends

Aaj ki pick. Found this song in an old thread in this section.
All time favourite Rafi Uncle ka gaya huaa :-

Likhey jo khatt tujhey…
woh teri yaad mey…
hazaar rangg key…
nazarey bann gayey.
Saweraa jubb huaa…
tow phool bann gayey
Jo raat aayee tow…
sitaarey bann gayey.

Koi naghmaa, kaheen goonjaa,
kahaa dil ney, yeh tuu aayee.
Kaheen chatkee kali koyee,
mey yeh samjhaa tuu sharmaayee.
Koi khushboo kaheen bikhree,
Lagaa yeh zulff lehraayee.

Likhey jo khatt tujhey…
woh teri yaad mey…
hazaar rangg key…
nazarey bann gayey.
Saweraa jubb huaa…
tow phool bann gayey
Jo raat aayee tow…
sitaarey bann gayey.

Fizaa rangeen, adaa rangeen,
yeh ithlaanaa, yeh sharmaanaa,
Yeh angrdayee, yeh tanhaayee,
yeh tarsaa karr chaley jaanaa,
Banaa degaa nahi(n) kisskow,
jawaan jadoo yeh deewanaa.

Likhey jo khatt tujhey…
woh teri yaad mey…
hazaar rangg key…
nazarey bann gayey.
Saweraa jubb huaa…
tow phool bann gayey
Jo raat aayee tow…
sitaarey bann gayey.

Jahaan tuu hai, wahaan mey hoo(n),
Merey dil kee, tuu dhadkann hai.
Musaafir mey, tuu manzil hai,
Mey pyaasaa hoo(n) tuu sawaann hai
Meri duniyaa yeh nazrei(n) hei(n),
Meri janatt yeh damann hai.

Likhey jo khatt tujhey…
woh teri yaad mey…
hazaar rangg key…
nazarey bann gayey.
Saweraa jubb huaa…
tow phool bann gayey
Jo raat aayee tow…
sitaarey bann gayey.


come’on its a song a day from all the members. :slight_smile:

[This message has been edited by mey aa geya (edited April 22, 1999).]

*mey aa geya *
Yeh gana main abhi abhi sun rahi thi, bohut hi khoobsoorat gana hai.

Kiya yahan farmaish bhi ki ja saqti hai???
If so to phir mujhe yeh gana chahiye:

Aa ja tujh ko pukarein mere geet re

mere khayaal main yeh Rafi jee ka hai, but I'm not sure.

Barey chalaaku ho gayey ho aap "mey aa geya" jee. Mera post kiya huaa song ; cut and paste wah wah! :)

NEWays, that is one of my very favourites.
Rafi Uncle ki baat hi kuuch aur hai!
Here's one more...wouldn't be able to post it fully today.

Mere Mehbuub tujhey....

Mere Mehbuub tujhey meri mohabbat ki qassam...
Phir mujhey nargisi aankhoN kaa sahaaraa dey dey
Meraa khoyaa huaa rangeen nazaaraa dey dey...

Mere Mehbuub tujhey.... :) :)

Especial thanx to that someone who reminded me of this song here. :)

Hi Sabah,

There is a home page where you can get lyrics of Hindi film songs
http://chandra.astro.indiana.edu/isongs/hindi/index.html

I just give u the soing u asked for

aajaa, tujhako pukaare meraa pyaar
aajaa, mai.n to miTaa huu.N terii chaah me.n
tujhako pukaare meraa pyaar

dono jahaa.N kii bhe.nT cha.Dhaa dii maine raah me.n terii
apane badan kii khaaq milaa dii maine aah me.n terii
ab to chalii aa is paar
aajaa mai.n to miTaa huu.N | ||

itane yugo.n se itane dukho.n ko koI sah naa sakegaa
merii qasam mujhe tuu hai kisiikii koI kah naa sakegaa
mujhase hai teraa iqaraar
aajaa, mai.n to miTaa huu.N | ||

aakhirii pal hai aakhirii aa.Nhe.n tujhe Dhuu.NDh rahii hai.n
Duubatii saa.nse.n bujhatii nigaahe.n tujhe Dhuu.NDh rahii hai.n
saamane aajaa ek baar aajaa, mai.n to miTaa huu.N | ||

(music-Ravi, Lyric -Sahir singer-Rafi)

ur welcome

http://www.pak.org/gupshup/redface.gif

:wink:

okay here is mine…

mmmm hmmmm mmm hmmmm
Aansoo bhari hain yeh jeevan ki raahain
koi un say keh day hamay bhool jaaein

aaansoo bhari hain yeh jeevan ki raahain
koi un say…

waaday bhulaa dain, qasam torr dain wooh
haalat pay apni hamay chorr dain wooh
aisay jahaan say kiyoon ham dil lagaaein
koi un say keh day hamay bhool jaaein

aansoo bhari hain…

berbaadiyon ki ajab daastaan hoon
shabnam bhi roey mai woh paasbaan hoon
tumhay gher mubaarak hamay apni aaahain
koi un say keh day hamay bhool jaaein

aansoo bhari hain yeh jeevan ki raaahain
koi un say keh day hamay bhool jaaein

aansoo bhari hain…

Hayaa jee,
kabhi tow muskara deney waalaa geet likh diya kijeye!... harr waqt rulaatee rehti heiN aap.

oye...mey aa gaya... kithey hai teraa aaj daa geet...
chall koi gall nahi, aye ley doojaa geet wee ley ley :

Ehsaan teraa ho gaa mujh parr,
dil...kehtaa hai issey kehney dow,
Mujhey tumm sey mohabbat, ho gayee hai,
mujhey palko(n) kee chaao(n) mey rehney dow

ehsaan teraa hogaa mujh parr
...
:)

When comes to rafi......who can forget that number

Tu iss tarah say meri
zindagi mein shamil hai
jahan bhee jaooN yeh lagta hai
teri mehfil hai.......

the way rafi sang it ,i beleive none other could have ever sung it the way it had to be :)

MR

my song of the day :)

jab koi baat bigard ga'ay
jab koi mushkil pard ja'ay
tum dena sath mera
o' hamnava.
na koi hai
na koi tha
zindagi maiN tumharay siva
tum dena sath mera
o' hamnava!

ho chandni jaab tak raat
deta hai har koi sath
tum magar andheeroN maiN
na chordna mera hath.

jab koi bat.......

wafadari ki wo qasmaiN
nibha'aiN gay ham tum rasmaiN
ek bhi sans zindagi ki
jab tak ho aapnay bas maiN

jab koi baat.......

dil ko mairay howa yaqeeN
ham pehlay bhi milay kahiN
silsila yey sadyooN ka
koi aaj ki baat nahiN.

jab koi baat bigard ja'ay
jab koi mushkil pard ja'ay
tum daina sath mera
o' hamnava....................
na koi hai
na koi tha
zindagi maiN tumharay siva
tum dena saath mera
o'hamnava....................... :)

Samreen jee...dushman jee... :)
Good one jee good one! I love that song!

Its 3:40 a.m. my watch, and this song comes to moi' mind :

Dilbarr mere, kabb takk mujhe aisey hi tarpaaow gey...
Mey aag dil mey lagaa dooNgaa woh....
key pall mey pighall jaaow gey...

Mey aag dil mey lagaa dooNgaa woh....
key pall mey pighall jaaow gey...

Ik dinn aaye gaa...
Pyaar ho jaayey gaa...

Mey aag dil mey lagaa dooNgaa woh....
key pall mey pighall jaaow gey...

Socho gey jabb merebaare mey tanhaayioN mey
Ghir jaaow gey aur bhi meri parchaayioN mey...

Mey aag dil mey lagaa dooNgaa woh....
key pall mey pighall jaaow gey...

Dil sey miley gaa jo dil tow mehekney lago gey
Tuum meri baahoN mey aa ke behakney lago gey...

Mey aag dil mey lagaa dooNgaa woh....
key pall mey pighall jaaow gey... :) :)

When comes to night ....dunn u hafta depend on kishore.....hehe....but Rafi is still kool :)

Dekha aik khwab to yeh silsilay hooay
Door tuk nigahoN mein hain gull khilay hooay
yeh gila hai aap ki nigahoN say
phool bhee hoaN durmaiN to fasilay hooay :)

MR

ZZ jee Shukriya aap ka bohut bohut, and Sorry main pehle thanks nahin keh saqi.

Samreen yeh gana mere fav. main se hai, thanks.

mey aa geya aap kahan ghayeb ho gae, sab ko cherr ker?? next song kahan hai???

Aaj ka mera gana

Dil ka soona saaz tarana dhonde ga
teer nigha-e-naaz nishana dhonde ga
mujh ko mere baad zamana dhonde ga

age nahin yaad aa raha!!

[This message has been edited by sabah (edited April 26, 1999).]

wow thatz kool thatz nice!
glad to know that the song was a fav. one for both of u! :)

mey bhag giya ooopz sorry sorry mey aa giya :)i was too expecting one song everyday by u.
So where are u????????????????

n e wayz here is my todays pick;

hamaiN aur jinay ki
chahat na hoti
agar tum na hotay
agar tum na hotay!

hamaiN jo tumhara
sahara na milta.
bhaNvar maiN hi rehtay
kinara na milta.
kinaray pay bhi tow
leher aa dabooti
agar tum na hotay
agar tum na hotay!

tumhaiN dekh ke tow
lagta hai aa'say,
baharooN ka mausaam
aa'ya ho jaisay.
dikha'iy na daiti
andheeroN maiN jooti
agar tum na hotay
agar tum na hotay!

hamaiN aur jinay ki
chahat na hoti
agar tum na hotay
agar tum na hotay! :)

Ta Ta For Now! :)

[This message has been edited by SAMREEN (edited April 26, 1999).]

Samreen lagta hai aap ne mere fav.s ki list dekh li hai, thanks again

Aap ko yeh wala gana bhi ata hoga na

Main jis din bhoola doon tera naam dil se
woh din akhari ho meri zindagi ka
Yeh aankhein usi roz ho jaein andhien
jo tere siwa dekhein sapna kisi ka

Agar hai to please ise bhi post ker do na pleeeease.

Saba

wa wa wa wa...
kya choice hai :)

hmmm...
another one I love :

Mujh ko jub aisey ... dekhtee ho tuum
Rangg bharr jaatey heiN fizaa mey...
Tasmasaati hai... arzoo dil mey
Geet ghuul jaatey heiN... hawaa mey :)

Jaadoo bhari aankhoN waali suuno...
Jaadoo bhari aankhoN waali suuno...
Tuum aisey mujhey dekhaa naa karo
Tuum aisey mujhey dekhaa naa karo

Phir mey koi umeed karooN, phir mujhey koi armaan ho
Tuum shaayad meri bann jaaow, phir dil ko aisa guumaan ho
Parr aisaa naa ho tow acchaa hai,
Inn baatoN mey kyaa rakhaa hai...
Mujh ko aisi umeed na dow...

Jaadoo bhari aankhoN waali suuno...
Tuum aisey mujhey dekhaa naa karo :)

[This message has been edited by Umar Talib (edited April 27, 1999).]

oh so sorry saba yaar this time i dissapoint u

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

unfortunatly me too remeber the only four lines of that song which u have written already. N e wayz if the song would be in my audio collection then i will soon post that for u. :slight_smile:

wow Umar Talib (my target) jee :)this time u wrote my fav. song!
gooda bhui gooda :slight_smile:
the other song,
'sheeshay se bani ek lardki" from the same movie is my fav. one too :slight_smile:

khair my todays song, my all times favorite;

zindagi piyar ka geet hai
isay har dil kow gana parday ga,
zindagi gham ka saghar bhi hai
hans ke us paar jana parday ga!

jis ka jitna ho aaNchal yahaN par
us kow soghat utni milay gi
lalala lalala la la la la la la
jis ka jitna…
us kow soghat…
phool jeevan maiN gar na khilay tow
kantooN se bhi nibhana parday ga!

zindagi piyar ka geet hai
isay har dil kow gana parday ga!

hay agar door manzil tow kiya
rasta bhi hai mushkil tow kiya
lalala lalala la la la la la la
hay agar…
rasta bhi hai…
rasta roo bhari na milay tow
dil ka deepak jalana parday ga!

zindagi piyar ka geet hai
isay har dil kow gana parday ga!

zindagi ek paheli bhi hai
sukh dukh ki saheyli bhi hai
lalala lalala la la la la la la
zindagi ek…
sukh dukh ki…
zindagi ek wachan bhi tow hai
jisay sab kow nibhana parday ga!

zindagi piyar ka geet hai
isay har dil kow gana parday ga,
zindagi gham ka saghr bhi hai
hans ke us paar jana parday ga!

Ta Ta For Now :slight_smile:

This thread is runnin pretty well :)
keep on postin such fine numbers ya'all :)

my song is ...... i forgot the film but like the song ..... by kishore

yeh laal rung
kub mujhay choray ga
mera ghum kub talak
mera dil toray ga

chala jaoon ga mein
tera yeh sheher chor kay
na to yahan amrit milay
peenay ko
na zehar.....!

MR

Umar jee Bohut acha gana hai.

Samreen torri si dissapointed huwi, lekin aap ka doosra gana parr ke phir se khush, yeh film (Sotan) meri fav. reh chuki hai, is film main do hi gane ache the aik yeh aur aik '....Main teri choti behna hoon samajh na mujh ko satan..' shuru se abhi yaad nahin aa raha.

Aaj ka mera song, yeh bhi mujhe poora nahin yaad!

Zindagi so baras ki sahi
zindagi ka bharosa nahin

chand chup jae kab kiya pata
chandni ka bharosa nahin

Shukria Sabah jee.

Oye! Samreen jee, aap ki Target practice key liye mey hee bachaa hooN??
Aap ki practice tow ho jaayey gee, but meraa dhobraa kharaab ho jaayey gaa. Phir kaun dekhey gaa iss taraff ;) hehe...

Ok jee choice of the day :

Jab kisi ki taraff dil... jhukney lagey...
Baat aa karr zubaan takk... rukney lagey...
AankhoN aankhoN mey... iqraar hone lagey
Bol do garr tumhey... pyaar hone lagey

Hone lagey... Pyaar hone lagey...

This has always been my most favourite ghazal by Nusrat Fatak Ali Khan...and now it's a song in a new movie Kartoos (i think)

here goes..

Gham hay yah khushi hay tuuu
mairi zindagi hay tuuu
mairi zindagi hay tuuu

mairi raat ka chiraagh
mairi neeeend bhi hay tuuu

mairi zindagi hay tuuu

mai khizaaan ki shaaam hooon
ruttt bahaar ki hay tuuu

mairi zindagi hay tuuu

mairi saari umr mai
aik hi kammi hay tuuuuu

mairi zindagi hay tuuuu

gham hay yah khushi hay tuuu
mairi zindagi hay tuuu

Hayaa jee, I was very disappointed from the sountrack of Kartoos.
Subb GhazloN kaa bairagharq karr diyaa!!!

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

NEWays, here’s one more for today.
Avery fantastic song in voice of Lata :

Ajnabi kaun ho tuum…
Jubb sey tumhey dekhaa hai…
Saari duuniyaa…meri aankhoN mey simatt aayi hai…

Ajnabi kaun ho tuum…