Koee to ho jo meray dil ka haal jaan sakay
Koee to ho jo mera jazaba e junooN samjhay.
Har aik shaksh hai aamada e qitaal magar
Koee to ho k jo anjaam e jung ko samjhay
Tamam shehr hai ehsaas e dard se khaali
Koee to ho k jo takleef e dostaaN samjhay
Ummeed o beem ki halat mein jee rahay hain hum
Koee nahee hai jo chehroN pe hai likha, samjhay
Fareb khurda hain aur phir fareb khatay hain
Koee nahee hai jo iss bhaid ki girah samjhay
Samajh na aaye to yeah keh k taal deejiyega
Khuda bhala karay tera tujhay khuda samjhay
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
Originally posted by Mirza Ruswa:
*
Tamam shehr hai ehsaas e dard se khaali
Koee to ho k jo takleef e dostaaN samjhay
Ummeed o beem ki halat mein jee rahay hain hum
Koee nahee hai jo chehroN pe hai likha, samjhay
**
very Nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
thanko for sharing
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
MÙhb@t kÀ ÃnÒkhå SîÌSîÎã Hãï
KÆhî ý@$®Úb Káhï kîBàÎå H@ï
Nice ghazal Mirza Sahib
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
kahan they aap? Long time no see!
Nice.
I'm Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be
Rude Boyz Rulez
Nice Mirza Ji
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
duur shama-e-Khayaal ke maanind
shama vaadii kii jhil_milaatii hai
yaas ke beqaraa.N andhere me.n
ek umiid muskuraatii hai
duur parabat ke paas char_vaahaa
kho gayaa Gam_fazaa taraano.n me.n
bain karatii hai ruuh-e-zaKhm_aaluud
baa.Nsurii kii nahiif taano.n me.n
tere jaane kaa Gam bhulaataa huu.N
tere aane kii yaad aatii hai
haaye is bebasii ke aalam me.n
kis zamaane kii yaad aatii hai
shab ko viiraan rah_guzaaro.n se
sar jhukaaye hue guzarataa huu.N
qah_qaho.n me.n qaraar khoyaa thaa
aa.Nsuo.n me.n talaash karataa huu.N
Shukriya Mah - aap ki pasandeedagi ka
khush rehiye – duaa-on main yaad rakhiye.
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
Nawazish – aap ko hamara intekhaab pasand aaya.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Karobaar e hayaat ne uljha liya thha mohtaram.
Wasiay :
Gau main raha raheen e sitam hai rozgaar
Lekin teray khayal se ghafilnahee raha
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
[This message has been edited by Mirza Ruswa (edited May 28, 2002).]
shukriya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
Originally posted by Amjad Chohan:
**Nice Mirza Ji
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
duur shama-e-Khayaal ke maanind
shama vaadii kii jhil_milaatii hai
yaas ke beqaraa.N andhere me.n
ek umiid muskuraatii hai
duur parabat ke paas char_vaahaa
kho gayaa Gam_fazaa taraano.n me.n
bain karatii hai ruuh-e-zaKhm_aaluud
baa.Nsurii kii nahiif taano.n me.n
tere jaane kaa Gam bhulaataa huu.N
tere aane kii yaad aatii hai
haaye is bebasii ke aalam me.n
kis zamaane kii yaad aatii hai
shab ko viiraan rah_guzaaro.n se
sar jhukaaye hue guzarataa huu.N
qah_qaho.n me.n qaraar khoyaa thaa
aa.Nsuo.n me.n talaash karataa huu.N
**
Salaam mohtaram chohan saheb
Kiya haseen nazm tehreer ki hai janaab
Lutf aagaya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Aap ki aa’la zauqi k to hum qayal hai janab
Issi mizaaj ki aik nazm sahir ki hai uss ka aik band yaad aagaya. Aapki nazr hai:
Door wadi main doodhiya badal
jhuk k parbat ko pyaar kartay hain
dil main nakaam hasratain lekar
hum tera intezaar kartay hain
in bahaaron ki chhaa-on main aaja
phir mohabbat jawaan rahay na rahay
zindagee teray naa muradon par
kal talak mehrbaan rahay na rahay.
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
[This message has been edited by Mirza Ruswa (edited May 28, 2002).]
shukriya pehlwaan saheb.
waisay man-na parega k tareef bhi ki to pehlwani k andaz main.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
Originally posted by Mirza Ruswa:
**
Tamam shehr hai ehsaas e dard se khaali
Koee to ho k jo takleef e dostaaN samjhay
Ummeed o beem ki halat mein jee rahay hain hum
Koee nahee hai jo chehroN pe hai likha, samjhay
**
Mashallah M-R humain pasand aai
thankoo 4 share
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
~ ~~ ~*
“If you belong to Allah, rest assured that Allah will indeed belong to you”
“Dream as if u live forever live as if u will die today”
“The best way to cheer yourself up is to try to cheer somebody else up.”
~ ~~ ~*
juMurA
May 28, 2002, 9:21am
13
Bohat bohat shukriya
Yaqeen janiye aap ki iss pasandeedagi se hamen be intehaaa muasarrat ( nazeer ya shaheen nahee) mehsoos huee.
sho nishe of u shaam e firaq jee
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
)
huwe mar k ham jo Ruswa
huwe kiyuN na gharq e darya
[This message has been edited by Mirza Ruswa (edited May 28, 2002).]
Originally posted by Mirza Ruswa:
**
Nawazish – aap ko hamara intekhaab pasand aaya.
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Karobaar e hayaat ne uljha liya thha mohtaram.
Wasiay :
Gau main raha raheen e sitam hai rozgaar
Lekin teray khayal se ghafilnahee raha
**
Zah-e-Naseeb Mirza Sahib. Hamare khayal se ghafil na rahne ka buhat buhat shukriya. Hum bhee galee koochon mein Mirza Mirza pukarte rahe, hamein agar pata hota ke aap karobar-e-hayat mein ulajh gaye hain to Wallah kabhee bhee yeh poochne kee gustakhee na karte!
Ab kaise hain halaat MIrza Sahib?