yeh din yeh raat yeh lamhay mujhay achay lagtay hain
tumhain souchoon to saray silsilay achay lagtay hain
bohat door tak chalna magar phir bhi waheen rehna
mujhay tum say tumhi tak kay daeyray achay lagtay hain
Apna Ghar
zindagi kay rastoon mein etni gard urti hay
faslay say daykhain to kuch nazar naheen aata
manziloon kay chehray bhi, rah ki nishani bhi
sab hi doob jatay hain
gard kay samundar mein -- dard kay samundar mein
rasta naheen milta, faasla naheen ghat ta
jis jaga say niklay thay ham safar kay rastoon par
wahan pohanch kay daykhain to har taraf udaasi hay
har taraf andhayra hay
kuch nazar naheen aata
bay nishaan rastoon mein
wahimay to aatay hain
apna ghar naheen aata
Re: Apna Ghar
Ahhh,,,,,Buhat umdaa,, kia kehney apke
Azab yeh bhi kisi oor per nahi aaya
ke aik umer chaley oor gher nahi aya
Re: tum tak
WAh wah wahhhhh,,,,
Mai usko dekhta rehta tha Faraz heraton se
Yeh zindagi se taruf ki ibteda thi meri
Re: Apna Ghar
{{faslay say daykhain to kuch nazar naheen aata}}
Very nice Man de Mouj!
Good shair by Sara also!
Re: Apna Ghar
:k:
Re: tum tak
us aik shaks ki saj dhaj ghazab ki thi Faraz
mein dayktha tha usay, daykhta tha aeena
~~** aik dua - aap kay leyay **~~
tumharay chahray per jo sajay hain
wo phool khushiyon k younhi taza rahain
abad tak
hayat-e-nau mein wo rang bhar dain
k anay wala har ik lamha
nae umangon ka tarjuman ho
naeee saharon ki dastan ho
wo dastan jis ko perh kar dil mein
mohabbaton ka mussaraton ka yaqeen ho payda
meri duaa hay
tumhari ankhon k saray sapnay
misal-a-esoraj numayan ho kar
tumhari duniya ko jagmagaen
misal-e-mahtab o anjum
tumhari hasti ko sjaen
Re: ** aik dua - aap kay leyay **
beautiful :k: thanks for sharing:)
Re: tum tak
nice one moji lakin agar ap aik din main ik ya do karen tu sab ko parnay ka moqa milay gha .....:)
Re: ~~** aik dua - aap kay leyay **~~
Wah Wah ..........
Re: ~~** aik dua - aap kay leyay **~~
Thanks all of you....well, just coz of less time with me, I do post 2-3 threads...Anyway I shall do as per your desire....
Re: ~~** aik dua - aap kay leyay **~~
Wahh ,, buhat achi nazm hai,,,,