aik dost ka intayqab

Peerzada Qasim’s Gem

khoon se jub jala diya aik diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya aik diya bujha hua

apne tou ahd e shauq ke murhale sub ajeeb thay
hum ko visaal sa laga aik diya bujha hua

aik hi dastaan e shab aik hi silsila tou hai
aik diya jala hua aik diya bujha hua

mehfil e rung o noor ki phir mujhe yaad aa gayee
phir mujhe yaad aa gaya aik diya bujha hua

mujh ko nishat se fuzooN rusm e wafa aziz hai
mera rafeeq e shab raha aik diya bujha hua

shola hava nazaad tha phir bhi hava ke haath ne
buss yehi faisla likha aik diya bujha hua

dard ki kaaynaat main mujh se bhi roshni rahi
verna meri bisaat kya aik diya bujha hua

sun meri roshni e jaaN harf e sukhan meiN dhal gayee
aur maiN jaise reh gaya aik diya bujh hua

-peerzada qasim.

Bahut khoob … :k:

:k: