****Aik chota sa larka tha main jin dino
aik melay mein pohoncha humakta hua
ji machalta tha har ik shay pe magar
jaib khali thi, kuch mol na le saka
laut aya liye hasratain sainkron
aik chota sa larka tha main jin dino
khair mehroomion ke woh din tou gaye
aaj maila laga hai usi shan se
ji mein ata hai ik ik dukan mol loon
jo main chahoon tou sara jahan mol loon
naarsayi ka ab ji mein dharka kahan
par woh chota sa alhar sa larka kahan?****