****Kahin mile to usai ye kehna
Mein Tenha Sawan Bita Chuka Hoon
Mein Sarai Arman Jala Chuka Hoon
Jo Sholay Bharke Thay Khuwahisun K
Wo Aansoun Se Bhuja Chuka Hoon
Kahin Mile to Usay Yeh Kehna
Tere Bin Udaas Hoon Mein
Badalte Rut Ka Qiyas Hoon Mein
Bhuja De Apni Mohabbat Se
Sulagti Saddiyun Ki Piyas Hoon Mein
Kahin Mile To Usay Ye Kehna
Faseelay Nafrat Gira Raha Hoon
Gay Dinoun Ko Bhula Raha Hoon
Kahin Mile To Usay Ye Kehna
Na Koi DIl Malal Rakhe
Hamesha Apna Khiyal Rakhe
Saarai Ghum Mujh Ko De Day
Tamam Khushiyan Sanbhal Rakhe
Kahin Mile To Usay Ye Kehna
Kahin Mile To Usay Ye Kehna**