Hazrat imam Ghazali (RA) {505H} fermataiN haiN,
“ Kaan laga ker suno aik bazoorg ki naseehat hay kay Allah Ta’alla nay apni razamandi ko apni it’aat maiN choopa rakha hay lihaza kisi taat-o-ibadat ko kitni hi chooti kioN na ho haqeer na samjo kiya khabar US ki raza mandi isi maiN choopu ho.
Isi tarah Allah Ta’aala nay apni narazgi or ghusa ko maseeat maiN choopa rakha hay pus kisi maseeat ko kesi hi ho zara si hi kioN nay ho mamooli na samjo. kiya khabar isi maiN Allah ki narazgi or ghusa choopa ho.
Isi tarah walayat or qurb ko apnay bandooN maiN mahfi rakha hay lihaza kisi bandayo ko kesa hi guna gaar kioN na ho haqeer na samjo kiya khabar kay shaid kisi amal maiN is ki raza mandi ho jis ka zahoor is kay intaqaal kay waqat daftaan ho jay.: