i dnt knw if this poem have been posted before in the cafe or not, thought to share with u guys
Aik baat kahoon gar suntey ho?
Tum mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal se, kuch chup chup se
Kuch pagal pagal lagtey ho
Hain chahney waaley aur buhat
par tum mein hai aik baat buhat!
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon gar suntey ho?
Tum mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pe kho jaana
Kuch kehtey kehtey ruk jaana
Yeh kiss uljhan mein rehte ho?
Kia baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon gar suntey ho?
Tum mujh ko achey lagtey ho
Amina Dear yeh Aap nay kya kiya, barhay achay dinon ki yaad dila di jab main universty student thi yeh meri us zamanay main pasandeeda poem thi. Insha ji bhi bas aisa likhtay thay keh dil main uter jata hay.
Allah aap ka bhala karay buhat buhat shukrya
Aap ki nazam ka akhri hissa likh kar bhej rahi hun
ye baat baat per kho jana
kuch kehtay kehtay ruk jana
kia baat hay ham say keh dalo
**ye kis uljhan main rahtay ho **
ik bat kahon ger suntey ho
tum mujhko achay lagtay ho