aik adnaa si koshish aapki ki nazra karta hooN…!!
**
Duaa se, Iltejaa se, Istduaa se keya milegaa
Jise maiN ne banaiyaa us kHudaa se keyaa milegaa
HameiN Ishq-o-JunooN ki Intehaa se keyaa milegaa
Magar yeh bhi karo taiy ke Ibtadaa se keyaa milegaa
Badalte MausmoN se,is Fazaa se keyaa milegaa
Noward-e-Dil ko Bahir ki Hawaa se keyaa milegaa
Jo BehroN ki Basti meiN shaiyad Aaa gaiya hai
Gadaa-e-Shehr-e-Ulfat ko Sadaa se keyaa milegaa
Mujhe koi Duaa karne se pehle dekhnaa hai
Mere Maulaa mujhe teri Razaa se keya milegaa
**
Yeh QiSaS ajeeb-o-gHareeb haiN,yeh MohabbatoN ke Naseeb haiN
Mujhe kaise kHud se Juda kare,usey kuch batao keh keya kare
Kabhi Taiy kare younhi soch soch meiN Firaaq ke Faasle
Mere peecHe Aake dabbe dabbe meri AankheiN mooNd hansa kare
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
qibla go ke ham naachiiz behro wazan se na ashnaa hain magar hazoor ke lafzon ke taraashe huve teer jazbaat ke zhar se latpat hain…yehaan tak haamri baseet khub kaam karti hai.
purlutf andaz aur pur_souz alwaaz se jinaab ne samaa’n hi baandh diyaa.. wah.
may Allah kare aapkaa zor e qalam aur zeyada.
(¯`~!‹‹®››…Hâm…IbŦ £dâ_ë_I§Ħq…mëiñ…Añjaam…HöĞeye…‹®›!~´¯)™ ©²°°²
“¨¬¯¯³ª¯¬³ª“.¥È báäžží ̧µQ KÌ Báäž¶ hãí jÔ ÇhãhÖ Lægäà dÔ Œãr kÊ“§¬Ã“°²“¨¯¯–“
[This message has been edited by MAREEZ_E_ISHQ (edited June 20, 2002).]
Seher kay dukan daroo karobar-e-ulfat main
sood kia zian kia hay tum naa jaan paoo gay
dil kay daam kitny hain aur naqd-e-jaan kia hay
tum naa jaan paoo gay seher kay dukan daroo
Janta hoon main tum ko zook-e-shiri bi hay
shukhsiet sajny main ikk yea mahri bi hay
phir bi harf sontay ho sirf lafz chuntay hoo
inn kay darmian kia hay tum naa jaan pao gay
Seher kay dukan daroo.
cute ranja