Aaieyaay hum subb iss thread main achhi achhi batain karain
tu aap sub yeh bataieN kay aaj aap nay kaun kaun say achhay kaam kiyay hain
Aaj main nay aik buzurg ko apni GaRee main ghar tak chooRaa
Barish buhat taiz thee aur unn kay paas chattree bhi nahi thee
woo mairee building main hi rehtay hain.
Agar kissi nay achha kiyaa hay tu Allah ussay Jazaa day
Aur agar kissi nay aap ko takleef poohanchai hay tu aap ussay maaf kar dain
Allah par ChooR dain - WOO subb jaanta hay
Aaj main nay aik buzurg ko apni GaRee main ghar tak chooRaa
Barish buhat taiz thee aur unn kay paas chattree bhi nahi thee
woo mairee building main hi rehtay hain ** aham baat ye hay kay wo jana bhi nahi chah rahi thay meray sath un ko kahain aur jana tha, bari mushkil say zabadasti un ko beetha kar garri main chorra, wo bohat naraz hain mujh say-naiki ka zamana hi nahi hay ** .