Dard Rusvaa na tha zamaane maiN
dil ki tanha’iyoN maiN basta tha
harf-e-na gufta tha fasana-e-dil
aik din jo unheN khayal aya
puuchh bethe “udaas kyuN ho tum?”
“bas youNhi” muskura ke meiN ne kaha
dekhhte dekhhte sar-e-masGaaN
aik aansu magar dhalak aya
ishq noors tha khaam kaar tha dil
baat kuch bhii na thee magar hamdam
ab mohabbat ka vo nahiN aalim
aap he aap sochta houN maiN
dil ko ilzaam dey reha houN meiN
dard be-waqt ho gya rusvaa
aik aansu tha pii liya hota
husn muhtaaj ho gya uss din
ishq tauqiir ho gya uss din
haaye kyuN itna be-qaraar tha dil
-Ibn-e-Insha