Aik aangan mai rehnay walon nay...

**Aik aangan mai rehnay walon nay
faisla karliya judaee ka

galay milkar magar buhut rooye
waqt jab agayaa vidaaee ka

jab bhi miltay hain rastay mai kaheen
shikwaa kartay hain bewafaee ka

zahir kartay hain hum hain sheer-o-shakar
dar bhi lagta hai jag hansaee ka

aksar aatee hai marsiye ki sadaa
rabta khatam howa geet say shehnaee ka

ghar bhara rehta hai sanaatay ki awaazon say
kaisay ehsaan utaroon mai tanhaee ka**

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay...

**galay milkar magar buhut rooye
waqt jab agayaa vidaaee ka

Kia beti ko vida kar rahe the?
**

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay...

nahin bhaion mein taqseem ki baat ho rahi hai

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay…

:k:

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay…

Asal mein to Khushyon ko Vida kia…:teary3:

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay...

**Aik aangan mai rehnay walon nay
faisla karliya judaee ka

aik hi khandan ka ekhat rehne ka mtalb **

Re: Aik aangan mai rehnay walon nay...

1947 Earth