aik aissi larki jis ki zulfain kali ghata jaissi ho…
jis kay raang kay samnay chand bhi maan par jahay…
jis ka badaan resham jaissa ho…
MUHOBAT har lamha us kay taaqoob may rehti hai…
har Aankh oss hi kay khowaab deekh ti hai…
oss ko panay ki tamanna or oss say milnay ki khowahish har dil may baasti hai…
har kaan oss ki fazool or baymaqssaat baat soonay kay montazir rehtey hain…
wo muhobat or rafaaqat say na aashana, apnay hussun kay ghoror may dobi hohi apni duniya may maast hai…
wo muhobat ko kheil samajh nay wali aik haseen larki hai…
agarcha oss kay haseen charay nay oss kay jazbaat ko saard kardiya hai magar jaazboon ki saari haraaraat oss haseen larki kay lihay hai…
ISS kay Baraakss…
aik aam si larki…
jis kay pass na madoosh kar nay wali zulfain hain…
na chaand ko maan kar nay wala raang…
or na reshami badaan…
Wo aik aam si shakaal wali aam si larki hai…
muhobat jis say door bhaagti hai…
har kohi aankh chorata hai…
kohi aankh oss kay khowaab nahi deekhti…
kisi kay dil may oss ko panay ki tamanna nahi…
oss say milan ki khowahish nahi…
kohi kaan oss ki awaz kay montazir nahi…
wo kisi kay mayyar par nahi uttari…
oss ko deekh kar pemanay thoot jatey hain…
muhobat oss say mu moor layti hai…
wo kissi kay dil may nahi baasti…
wo tanha beitti hai or apnay haanth ki lakiroon may uljhi hohi hai…
or soonch rahi hai…
wo muhobat may jaan lootanay wali aik aam si larki hai…
wo muhobat may cheroon par yakeen nahi rakhti…
wo muhobat ko eebadat samajh ti hai…
wo muhobat ki apnay ap say ziyada izzat karti hai…
wo purkholoss muhobat ki qahil hai…
oss kay jaazbay saachay hain…
wo muhobat or oss ay saray raang say aashana hai…
Phir Kion…
muhobat ossko majbori samajhti hai…
Phir Kion…
muhobat oss say talakh rehti hai…
Phir Kion…
muhobat oss ko zalil karti hai…
Phir Kion…
muhobat oss ko gali dayti hai…
Phir Kion…
muhobat oss say door bhaagti hai…
Phir Kion…
kohi aankh oss kay khowaab nahi deekhti…
Phir Kion…
oss ko panay ki tamanna oss say milan ki khowahish kissi dil may nahi baasti…
Phir Kion…
muhobat oss ki muhobat ko pagalpaan kheti hai…
wo ap hi ap ulajh rahi hai…
wo aaina takay ja rahi hai…
apnay aansuoon ko pi rahi hai…
suraak aankhein lihay…
wo iss haqeeqaat ko ab jaan gahi hai…
muhobat kholoss ka naam nahi…
muhobat may saachay jaazbay ki qadar kahaan…
muhobat may dil o jaan ki haimiyaat nahi…
muhobat tu sirf hussun ka naam hai…
muhobat tu sirf cheroon say ki jaati hai…
jis kay pass jitna hussun oss kay lihay ootni muhobat…
muhobat ka peymana sirf khoobsorati hai…
muhobat ka mayyar sirf zahiri hussun hai…
**or afssooss wo **iss mayyar par nahi uttari…
Kion Kay…
wo aik aam si larki hai…
bas aik aam si larki…
jis kay raang ki taranha oss ki muhobat bhi ab maan par gahi hai…
jis kay dil ki taranha oss kay khowaab bhi thoot gahay hain…
ab oss ki aankhoon may na kohi khowaab hain…
or na dil may kohi khowahish…
wo atni raatein jagnay kay baadh…
atnay dhookh seh nay kay baadh…
iss taalakh haqeqaat ko jaan gahi hai…
kay oss say muhobat kar nay say phelay ya soonch layna chahiya tha kay…
wo aik aam si larki hai…
Bas aik aam si larki…