aik aakhri mulakaat he to maangi thi tum say
aik aakhri dil ki chah he to maangi thi tum say
ehsaan na kertay bus thori wafa he day jatay
paas na atay bus saya he chor jatay
un hontoun say sunnay ko upna naam mein taras gai
kitni raatoun ka sannata samaettay mein thak gai
aakhir dil kyun nahi maanta k tum nahi ao gay
aakhir koi ye kyun nahi jaanta k, aik aakhri mulakaat zaroori hai…