roz ba.Dhta hoN jaha.N se aagay
phir vahin loaT k aa jaata hoN
baar’ha to.D chukaa hoN jinko
unhi deewaaro.n se Takraata hoN
roz bastay hein kaee shehr naey
roz dharti mein sama jaatay hein
zal-zalo.n mein thi zara c girha
vo bhi ab roz hi aa jaatay hein
jism se ruuh talak ret hi ret
na kahin dhuup, na saaya na saraab
kitnay aramaan hein kis sehra mein
kon rakhta hai mazaaro.n ka hisaab
nabz bujhti bhi bha.Dakati bhi hai
dil ka maamuul hai ghabaraana bhi
raat a.Ndhere ne a.Ndhere se kaha
aik aadat hai jiye jaana bhi
apane haatho.n ko pa.Dhaa karataa hoN
kabhi Quraan kabhi Geeta ki tarah
chand rekhaao.n mein samaauu.N mein
zindagi qaid hai Seeta ki tarah
Ram kab lauTe.nge maaluum nahi
kaash Raavan hi koi aa jaataa… ![]()