Aie mere ham nasheeN chal kaheeN aur chal
is chaman meiN ab apna guzaara naheeN
baat hotee guloN tak to sah lete ham
ab to kaanToN pe bhee haq hamaara naheeN
aaj aaye ho tum kal chale jaaoge
yeh mohabbat ko apnee gavaara naheeN
umr bhar kaa sahaaraa bano to bano
do ghaRee kaa sahaaraa sahaara naheeN
jaane kaisee lagan kis kee dhun meN magan
jaa rahe the magar muRke dekha naheeN
maiN ne aavaaz par unko aavaaz dee
voh yeh kahte haiN ham ne pukaara naheeN
dee sada daar par aur kabhee toor par
kis jagah maiN ne tumko pukaara naheeN
THokareN yooN khilaane se kya fayedaa
saaf keh do ki milnaa gavaara naheeN
gulistaaN ko lahoo kee zaroorat paRee
sab se pahle hee gardan hamaari kaTi
phir bhee kehte haiN mujhse yeh ahl-e-chaman
yeh chaman hai hamaara tumhaara naheeN
zaalimo apnee qismat pe naazaaN na ho
daur badalega yeh vaqt kee baat hai
voh yaqeenan sunega sadaayeN meree
kyaa tumhaara Khudaa hai hamaara naheeN
apnee zulfoN ko ruKh se haTa leejiye
meraa zauq-e-nazar aazmaa leejiye
aaj ghar se chalaa hooN yehee soch kar
yaa to nazareN naheeN yaa nazaara naheeN
mere ’azm-o-himmat ke ahsaas ko
naaKhuda ke karam kee zaroorat naheeN
maiN sahaaroN kaa ehsaan looN kisliye
meree manzil hai toofaaN kinaara naheeN
(Qamar Jalalabadi)
[QUOTE]
*Originally posted by m kamal: *
thanx lamhay 4 liking
talash karnay say Khuda mil jata hai jaga ke kia baat hay
waisay
nayee zamin nia aasmaN pida kar
[/QUOTE]
na tu main khuda hoon na mera ishq farishtoon jaisa ........ kyon na phir hijaboon main milain....!
m kamal g beyshak dhoondhnay say khuda bhi miljata hai per ashiqoon ko nahi milti tu woh hai Jagha aur milti hai tu do gaaz kabar main hi Jagha .... Duniya ka dastoor hai aur yahi hota aya hai ap naye zamin aur naya asmaan paida kahan say karsakhtay hain Jab k ab US "ZAAT E PAK "kay Hukum kay baghair sans bhi nahi laysakhtay :)
rahi baat nai zameen awr aasman ki, to us say murad mahool hay jo 80% insan apnay liyee creat kar sakta hay apni lagan , qurbani awr mehnat say. Baqi har insan ke apni soch hoti hay
farishtay say behtar hai insan banna.. magar is pe lagti hai mehnat ziada
aik awr baat (bay adbi muaf) waisay lamhay G app aaj kuch mayos mayos nahi lag rahi, GS ke posting mai b aap nay phool ko kabar tak puhunch dia awr yahan b aap nay kabar ka zikar kia.