salaam dosto,
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
film “Palki” meN shahr-e-Lucknow kii Shakeel Badaayuunii ne yuN ta’reef bayaan farmaaii hai…kia sheereenii-e-zabaan aur kia hii dil-kash Husn-e-bayaan hai…mulaaHizah farmaaiye sadaa-bahaar Ra’ii saab kii sunehrii aur jaazib aawaaz meN:
**
ai shahr-e-lakhnau! tujhe meraa salaam hai
teraa hii naam duusraa jannat kaa naam hai
mere liye bahaar bhii tu, gul_badan bhii tu!
parvaana aur shamm’a bhii tu, anjuman bhii tu!
zulfoN kii tarHa mahkii huii terii shaam hai
ai shahr-e-Lakhnau! tujhe meraa salaam hai
teraa hii naam duusraa jannat kaa naam hai
kaisaa nikhaar tujh meN hai, kia kia hai baaNkpan
GhazleN gali gali haiN to naGhme chaman chaman
shaa’ir ke dil se poochh tiraa kia maqaam hai
ai shahr-e-Lakhnau! tujhe meraa salaam hai
teraa hii naam duusraa jannat kaa naam hai
tu vo hai log shahr-e-nigaaraaN kaheN jise
firdaus-e-Husn-e-rashk-e-bahaaraaN kaheN jise
terii har ek adaa meN vafaa kaa payaam hai
ai shahr-e-Lakhnau! tujhe meraa salaam hai
teraa hii naam duusraa jannat kaa naam hai**
btw, S.U. Sunny’s full name was Sami Uddin Sunny!