Re: Ahsaas-e-nadamat!!
yaqeenan magar Allah ke bataaye huye usooloN meN yeh bhi hai k sidq e dil se taubaa ke liye jo ek aham unsar hai vo hai…tauba ke ba’d apni islaaH aur vo nuqsaanaat jo aapne kiye uskaa izaalaa!
agar yeh donoN baateN nahiiN karte to aap laakh tauba kar leN Allah use qubool nahiiN karegaa…taba baraaye tauba ba Hsb e aadat naa qaabil e qubool hai…yeh to nahiiN kar sakte k ek pal tauba ki dusre pal vohii gunaah kiyaa phir teesere pal taubaa kar li.