Ahsaas-e-nadamat!!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

aasaaN to hai magar kahiiN iskii 'aadat na paR jaaye...aisaa rujHaan aajkal logoN meN paidaa ho rahaa hai k gunaah karte raho aur saath saath tauba astaGhfaar bhii karte raho.

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

yehi to baat hay, sirf ahsas-e-nadamat nahin....DIL SE ahsas-e-nadamat kuch aur hota hay..........aur jab ye hojaye to insaan gunah se bachta hay!!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!


haN yeh to hai k agar sidq-e-dil se tauba astaGhfaar kii jaaye to phir gunaahoN se bachnaa qadre aasaaN ho jaataa hai magar maiN ne to yeh dekhaa hai k fajar taa baa 'ishaa kii namaaz baa-jamaa't bhii ho rahii hai aur saath saath job pe be-iimaanii, rishwat-Khorii aur daGhaabaazii bhii chal rahii hai.

retirement ke ba'd daaRhii bhii rakh lete haiN magar rishwat aur be-iimaanii se kamaaye huye paise se chhuTkaaraa bhii nahiiN lete...how can you sail with your feet in two boats. how can you reconcile your past with your present? :( sab Hubb-ud-dunyaa hai aur Hashr ke din ke Hisaab o kitaab se laa-ta'alluqii hai!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

Issi liye toh Ussay Rehman aur Rahim kehtay hain.

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

Mauqe to bohat milte hain

Hum qadar nahi karte

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

good

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

:lajawab:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

Very true… Khuda to maanene ke liye hi betha hai… Jo bhi mango usse dena acha lagta hai… Usse bande ka mangna hi to pasand hai

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

Ye MUNAFIQ ki nishani hay aur isay munafiqat kehte hain!! dikhaway ki tauba aur dil ki tauba main zameen aasmaan ka faraq hay aur bayshak Allah dilon ka haal jaanta hay!!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

Bilkul durust!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!


yaqeenan magar Allah ke bataaye huye usooloN meN yeh bhi hai k sidq e dil se taubaa ke liye jo ek aham unsar hai vo hai...tauba ke ba'd apni islaaH aur vo nuqsaanaat jo aapne kiye uskaa izaalaa!

agar yeh donoN baateN nahiiN karte to aap laakh tauba kar leN Allah use qubool nahiiN karegaa...taba baraaye tauba ba Hsb e aadat naa qaabil e qubool hai...yeh to nahiiN kar sakte k ek pal tauba ki dusre pal vohii gunaah kiyaa phir teesere pal taubaa kar li.

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

main yehi bata rahi hun Fakhti bhaaaaaaaiiiiiiiiiiiiiiiiiiii :smack: dil ki tauba!!! DIL ki tauba ke baad aap kabhi bhi wo gunah dubara nahin ker saktay!! aur apni islah bhi kartay hain aur gunaho ka izala bhi!!

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

ab boli ho merii ‘TUNE’ meN…ab saHeeH hai…jaao, mauj karo! :cb:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

:sadiyah:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

aise na kareN…bhejaa hil gayaa to lene ke dene paR jaayeNge :cb:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

:kursi:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

lo ji, kar lo baat…ab meraa bhejaa hilaane ke daipai ho gaii haiN? maiN ne apnaa bhejaa bolted karvaa liyaa hai…hilne kaa nahiiN! :smiley:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

aap kaun kaun se alfaz ka istimaal kerty hen…hindi bolty hen k urdu?? :cb:

Re: Ahsaas-e-nadamat!!

merii zabaan satrangii hai! indradhanushii hai, qaus e qazahii hai! :cb:

ab maiN chalaa kaam pe! :slight_smile: AH :slight_smile: