Mujhse kia doobne waalon ka pata poochte ho
Main samandar ka hawala na kinaarey ki misaal
Zindagi orh ke baithi thi rida-e-shab-e-ghum
Tera ghum taank diya humne sitaarey ki misaal
Aashiqi ko bhi hawas pesha tijaarat jaanein
Wasl hai nafa to hijraan hai khasaarey ki misaal
Hum kabhi toot ke roye na kabhi khul ke hansey
Raat shabnam ki tarah subho sitaarey ki misaal
Na-sipaasi ki bhi hadd hai jo yeh kehte ho ‘Faraz’
Zindagi hum ne guzaari hai guzaare ki misaal !!
**
Ahmed Faraz.
( Majmua-e-kalaam: Khaab-e-gul pareshaan hai, Safha No. 95 )