dilkash biphra hua andaz ahmed faraz ka; he is a legend
ab kis kaa jashn manaate ho us des kaa jo taqsim huaa
ab kis ke giit sunaate ho us tan-man kaa jo do-nim huaa
us parcham kaa jis kii hurmat baazaaro(n) me(n) nelaam hu_ii
us miTTii kaa jis kii hurmat mansuub uduu ke naam hu_ii
us jang ko jo tum haar chuke us rasm kaa jo jaarii bhii nahii.n
us zaKhm kaa jo siine pe na thaa us jaan kaa jo vaarii bhii nahii.n
us Khuun kaa jo bad_qismat thaa raaho(n) me(n) bahaayaa tan me(n) rahaa
us phuul kaa jo bayqeemat thaa aangan me(n) khilaa yaa ban me(n) rahaa
un maasuumo(n) kaa jin ke lahuu se tum ne farozaa(N) raate(n) kii(n)
yaa un mazaluumo(n) kaa jis se Khanjar kii zubaa(N) me(n) baate(n) kii(n)
us mariyam kaa jis kii iffat luTi jati hai bhare baazaaro(n) me(n)
us iisaa kaa jo qaatil hai aur shaamil hai Gam_Khvaaro(n) me(n)
in nohaagaro(n) kaa jinhoney hame(n) Khud qatl kiyaa Khud rote hai(n)
aise bhii kahii(n) dam_saaz hue aise jallaad bhii hote hai(n)
un bhuuke nange DhaaNcho(n) kaa jo raqs sar-e-baazaar kare(n)
yaa un zaalim qazzaaqo(n) kaa jo bhes badal kar vaar kare(n)
yaa un JhuuTe iqaraaro(n) kaa jo aaj talak aifaa na hue
yaa un bebas laachaaro(n) kaa jo aur bhii dukh kaa nishaanaa hue
aaNkho(n) mei(n) chhupaaye ashko(n) ko honTho(n) mei(n) vafaa ke bol liye
is jashn me(n) tu bhii shaamil hoja haaton may bharaa kashkol liye
![]()