Ahmad Faraz v\s General Zia-ul-haq

MUHASSRA may strike you as an odd nazm( depending on your political and governing beliefs) or exhilarating (sure did to me), it addresses directly to the in power General Zia, against his dictorial tactics to Ahmad Faraz in 1981, urging him to apprehend his PROGESSIVE writing for democracy . I loved it and i hope u all do
before you read, u shd know it very big aur buhat hiiii gaarhsi urdu hay )

It took me more than few readings of this classic faraz work to fully understand. I should tell u this , in the first part Faraz talks abt the order he received from Zia, the last part is His reply.

Meray Ghuneem nay mujh ko payam bhaija hay
kay hulka zun hain meray Gird lushkurri us kay
fuseel-e-shehur kay hur burj hur minaaray pur
kuma budust sitaada hain uskurri us kay

woh burq lehur bhuja di gai hay jis ki tupish
wujood-e-khaak main aatishfisha jugaati thi
bhichaa diya gaya barood us ki raaho main
woh jooay-e-aab jo meri guli tuk aati thi

sabhi dareeda dahun ab badan dareeda huay
supurd-e-daaro rassun saaray sirkusheeda huay

tumaam soofi-o-saaliq, sabhi shayookh-o-imam
umeed-e-lutf pay aiwaan-e-kusht kulha main hain
mouzzuzeen-e-adaalut bhi hulf uthaanay ko
misaal-e-saial-e- mumbrumb nishust-e-rah main hain

tum ahl-e-harf kay pindaar kay sanagur thay
woh aasmaan-e-hunr kay nujoom saamnay hain
bus is qadar tha kay durbaar say bulaava tha
gada garan-e-sukhn kay hujoom saamnay hain

kulundaar-e-wafa ki asaas to dekho
tumharay saath hay kon aaspaas to dekho

so shurt yey hay jo jaa ki umaan chahtay ho
to apnay loh-o-qalam kutal gah main rukh do
warna ab kay nishaana kumaandaaro ka
bas aik tum ho to ghairut ko rah main rukh do

yey shurt naama jo dekha to ailchi say kaha
ussay khabar nahi tareekh kia sikhaatai hay
kay raat jab kissi khurseed ko shaeed kuray
to subah ik naya sooruj taraash laati hay

so yey jawab hay mera meray udu kay liay
kay mujh ko na hirs-e-karam hay na khoof-e-khumyaza
ussay hay shutvat-e-shumsheer pur ghumund buhat
ussay shukooh-e-qalam ka nahi hay undaaza

mera qalam nahi kirdaar us muhaafiz ka
jo apnay shehur ko mehsoor kurkay naaz kuray
mera qalam nahi kaasa aisay gadagur ka
jo ghasibo ko kuseedo say sarfaraz karay

mera walam nahi meezaan us aadil ki
jo apna chehray pur dohra niqaab rukhta hay
mera qalam nahi tusbeeh us mubuligh ki
jo bandagi ka bhi hur dum hisaab rukhta hay

mera qalam to amaanut hay meray logo ki
mera qalam adaalut meri zumeer ki hay
issi liay to jo likha tapaak-e-jaan say likha
jabhi to nooch kumaan ka zuba teer ki hay

main kut giru kay sulaamut ruho yuqeen hay mujhay
yey hisaar-e-situm koi to giraaega
tamaam umr ki eeza nuseebio ki qasam
meray qalam ka safar raaega na jaaega

Re: Ahmad Faraz v\s General Zia-ul-haq

:o

Re: Ahmad Faraz v\s General Zia-ul-haq

you didnt like it sanan?