Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa
Ab ke tajdeed-e-wafa ka naheeN imkaaN jaana
Apnay SHohar ko na ker itna pareshaaN jaana
Sari KHoobaniyaaN KHa leeN mujhay guTHli bhi na dee
Itnay tung dil tau hotay nahee KHoobaN jaana
CHay raQeeboN kay tau KHud maiN nay likhay haiN sehray
Aur kitnoN say keeay baiTHee hai paimaaN jaana
Woh akailee hee honey moon mananay chal dee
MaiN airport per CHeeKHa keeya jaa na
jaa na:mad3:
Log isko teri maKHmoor nazar samaJHtay haiN
Tu tau baCHpan hee say BHaingee hai, heyna jaana?
Aur saatwaiN SHair pay jaana nay JHilla kay kaha
Kia yeh bakwas laga raKHi hai jaana jaana
Aur maQtay pay jo ponhCHa tu tinak ker boli
MaiN tu PHarjana hooN hogi teri behna jaana