Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

I really like this ghazal by Ahmad Faraz. Kamaal hai :love:

ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan, jaanan
yaad kya tujh ko dilayain tera paimaan, jaanan

yun hee mausam ki adaa dekh k yaad aaya hai
iss qadar juld badal jaatay hain insaan, jaanan
ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan, jaanan

dil yeh kehta hai ke fasurda tu bhi
dil ki kya baat karain dil tu hai nadaan, jaanan
ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan, jaanan

hum bhi kya saada thhay, humnay bhi samajh rakha thaa
ghama-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan, jaanan
ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan, jaanan

Isnt it just fabulous?

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

Ab ke tajdeed-e-wafa ka naheeN imkaaN jaana
Apnay SHohar ko na ker itna pareshaaN jaana

Sari KHoobaniyaaN KHa leeN mujhay guTHli bhi na dee
Itnay tung dil tau hotay nahee KHoobaN jaana

CHay raQeeboN kay tau KHud maiN nay likhay haiN sehray
Aur kitnoN say keeay baiTHee hai paimaaN jaana

Woh akailee hee honey moon mananay chal dee
MaiN airport per CHeeKHa keeya jaa na :mad:jaa na:mad3:

Log isko teri maKHmoor nazar samaJHtay haiN
Tu tau baCHpan hee say BHaingee hai, heyna jaana?

Aur saatwaiN SHair pay jaana nay JHilla kay kaha
Kia yeh bakwas laga raKHi hai jaana jaana

Aur maQtay pay jo ponhCHa tu tinak ker boli
MaiN tu PHarjana hooN hogi teri behna jaana

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

I just remember it from ghazal. Thanks for posting the whole new version :p

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

Thanks for reading the whole ghazal :slight_smile:

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

^ Yeah I read it after you posted it. It seemd with more shairs. Changed my post now :p

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

bakwaas :p

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

:)

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

exactly:p

Aur saatwaiN SHair pay jaana nay JHilla kay kaha
Kia yeh bakwas laga raKHi hai jaana jaana :smiley:

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

lol @ AQ

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

beautiful :-)

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

Saby… It really is Beautiful… Tnx for Sharing :flower1:

AQ bhai… Ahmad Faraz ki Rooh taRap Rahi hogi :hehe: Itni Zyadti :smiley:

Re: Ahmad Faraz - ab tu tajdeed-e-wafa

Ahmad Faraz ki Rooh taRap Rahi hogi

Abhi zinda hein .. Anwar bhai haat aaien un ke to maza ajay.