Bey niazaana hamesha ki tarhan milta hai
Ahl-e-dil se bhi woh dunia ki tarhan milta hai
koocha-e-yaar mein heraan hun ke kis ko dekhun
har koi naksh-e-kaf-e-pa ki tarhan milta hai
hum wahan hein ke jahan chashm kushaai ka sila
aankh ko zakhm-e-tamasha ki tarhan milta hai
Har sitamgar ke mohabbat bharey lehjey pey na ja
kabhi sehra bhi tu darya ki tarhan milta hai
ub humein khwaahish-e-darmaan jo nahi hai tu Faraz
jo bhi milta hai maseeha ki tarhan milta hai
![]()