Sitam Kay Door main Ham Ahl-dil he Kam Aey
Zuban per Naz tha jin KO Who Bayzuban NIklay
Irfan Ismail
Sitam Kay Door main Ham Ahl-dil he Kam Aey
Zuban per Naz tha jin KO Who Bayzuban NIklay
Irfan Ismail
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/teary2.gif
~Advice is like caster oil, easy to give hard to swallow!~
nice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
yeh aur baat keh mimbar peh aa ke kuch na kahein
khamosh log blaa ke khhateeb hotay hein!
zindagi zinda billi ka naam hae…!
Nice ...
**
سكورپین کنگ
§©ö®Þïoñ_kîñg
**
Even If You Are Basically Stupid
You Can Still Meet Nice People !
Barson bad Milaa To bhi marey Lab per Koe gilaa na tha
Usey maree Chup nay Rulaa deya Jisey Guftugo main Kamal Tha
Irfan Ismail
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
** Barson bad Milaa To bhi marey Lab per Koe gilaa na tha
Usey maree Chup nay Rulaa deya Jisey Guftugo main Kamal Tha
**
[/quote]
waqt khush khush kaattnay ka mashwara detay huay
ro parra woh khud, mujh ko hausla detay huay.
bohat mashoor sher hae lekin nahin pata keh kis ka hae... does anyone know?
zindagi zinda billi ka naam hae...!
Jin kay hoonto par piyar likha tha
Un kay haathoo may phool peelay thay
Rang sab kay lahoo ka aik he tha
Sab kay lekin juda qabeelay thay
Us ke ankhain tu khushk the lekin
Us ke palkoo kay saai geelay thay
Irfan Ismail
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
**Jin kay hoonto par piyar likha tha
Un kay haathoo may phool peelay thay
Rang sab kay lahoo ka aik he tha
Sab kay lekin juda qabeelay thay
Us ke ankhain tu khushk the lekin
Us ke palkoo kay saai geelay thay
**
[/quote]
uff... killer sher hae!... yeh meree dairy mein jaae ga... thanks!
shab ko veeraan raah-guzaaron se
sar jhukaa-ay huay guzarta houn
keh-kahon mein karaar khoya tha
aansoo-on mein talaash karta houn
zindagi zinda billi ka naam hae...!
Naam Ayaa Bhi To Kin Namoon Main
jaa Miley Ishq kay Nakamon Main
Ab To Rona Bhi Howa hay Shamil
Rooz Marah Kay Kae Kamon Main
Irfan Ismail
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
**Naam Ayaa Bhi To Kin Namoon Main
jaa Miley Ishq kay Nakamon Main
Ab To Rona Bhi Howa hay Shamil
Rooz Marah Kay Kae Kamon Main
**
[/quote]
aansuon ki jahaan payamaali rahi
aisi basti charaagon se Khaali rahi
jab kabhi bhi tumhaara Khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
[quote]
Originally posted by Ek Shairah:
**
aansuon ki jahaan payamaali rahi
aisi basti charaagon se Khaali rahi
jab kabhi bhi tumhaara Khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi**
[/quote]
Har ek sawal ka jawaab kya deta
maiN lakht lakht badan ka hisaab kya deta
jo ek lafz ki khushbu na rakh saka mehfooz
maiN uske haath me poori kitaab kya deta
Irfan Ismail
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
[/quote]
Zindagi mein kabhi kabhi aisa maqaam bhi aata hai
Boltey kuch aur hain zubaan se kuch aur nikal jaata hai
[quote]
Originally posted by Ek Shairah:
**
Zindagi mein kabhi kabhi aisa maqaam bhi aata hai
Boltey kuch aur hain zubaan se kuch aur nikal jaata hai**
[/quote]
Apney wadey par atal hoon mein pahaaro ki tarah
Mein bhi kya aap ka dil hoon jo badal jaon ga
Irfan Ismail
[quote]
Originally posted by RahGeeR:
** Apney wadey par atal hoon mein pahaaro ki tarah
Mein bhi kya aap ka dil hoon jo badal jaon ga
**
[/quote]
haq vafaa kaa jo hum jatane lage
aap kuch kahkar muskrane lage
Dar hai meri zubaan na khul jaye
ab vo baatein bahut banane lage
tum ko karna padegaa uzr-e-jafaa
hum agar dard-e-dil sunaane lage