Ahista Ahista

Sarakti jaaye hain rukh se ye naqaab aahista aashista
nikalta aa raha hai aftaab aaista aahista

Jawan hone lage jab wo to hum se kar liya parda
haya yak-lakht aa ee aur shabaab aahista aahista

Shab-e-furqat ka jaaga hoon farishto ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisaab aahista aahista

Sawaal-e-vasl par un ko adoo ka khauf hai itna
dabe honto’n se dete hain jawaab aahista aahista

hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista aahista

Wo bedardi se ser kaate Ameer aur mein kahoon unse
huzuur aahista aa****a janaab aahista aahista

By: Ameer Minai

Re: Ahista Ahista

Khulegi iss nazar pe chashm-e-tar aahista aahista
kiyaa jaata hai paani mein safar aahista aahista

badal dena hai raasta ya kaheen par baeth jana hai
ki thakta ja raha hai ham - safar aahista aahista

khalish ke saath iss dil se na meri jaan nikal jaaye
kheenche teer-e-shanasaee magar aahista aahista

meri shola mizaaji ko wo jangal kaise raas aaye
hawa bhi saans leti jo jidhar aahista aahista

By: Parween Shakir

Re: Ahista Ahista

What a bloody good shair man…:hehe:

Excellent…:k:(Jagjit sang this one too)

Re: Ahista Ahista

Wah Sarkaar!
Ye Ameer Minai jo hain ye Josh k ustaad they. Ustaadi kaise na dikhaate!!! :-)
Lijiye ham bhi kuch post kar dete hain .....Aahista Aahista

Re: Ahista Ahista

Uttha d raat ne rukh se naqaab aahista aahista
Bas ubhra chaahta hai aaftaab aahista aahista

Wo ik tarz-e-takallum, mehv hota hi nahi dil se
Kisi ne khilte dekha hai gulaab aahista aahista !

Kabhi ik aaisa manzar bhi nigaahon se guzarta hai
K yaad aata hai ik bhoola sa khwaab aahista aahista

Khayaal o khwaab ho kar reh gaye kya kya hasee(n) chehre
Hua veeraan shehr-e-laajwaab aahista aahista

Kisi jhaunke ne jaise koi pichhli yaad dohra d
Hawa ne paltte auraaq-e-kitaab aahista aahista
(poet: Saud Usmani)


Mehek utthe gi saari rah-guzar aahista aahista
Hua karta hai khushbu ka safar aahista aahista

Diye sirf ek gham ne zindagi ko zaaviye kya kya
Jalee(n) ik lau se shamm'ein kis qadar aahista aahista

Mere husn-e-nazar ka khud mujhe ehsaas tak kiyun ho
Jamaal-e-yaar kar aankhon mein ghar aahista aahista

Shuaayen khud hi apna raasta pehchaan leti hain
Utar aati hai aankhon mein sahar aahista aahista

Teri yaadein bhi ik ik kar k rukhsat hoti jaati hain
Bichharte jaa rahe hain hamsafar aahista aahista
(poet: Saud Usmani)

Re: Ahista Ahista

Hati zulf unn ke chehre se magar ahista ahista
ayaan suraj huaa waqt-e-sahar ahista ashista

qafas mein dekh ker baaz-o-aseer aa pas mein kehte hein
bahaar-e-gul taq aa jaeynge par ahista ahista

gham-e-tabdeeli-e-gulshan kahan taq phir ye gulshan hai
qafas bhi ho tu ban jaata hai ghar ahista ahista

Ilaahi konsa waqt aagaya bemaar-e-furqat per
ke uth kar chal diye sab chaara'h gar ahista ahista

na jaane kyun na aaya warna kab ka aa jaata
agar chala wahaan se namaabar ahista ahista

jisse ab dekh ker ek jaan parhti hai mohabat mein
yahi ban jaaye gi qatil nazar ahista ahista

abhi taq yaad hai kal ki shab-e-gham aur tanhaee
phir uss per chaand ka dhalna Qamar ahista ahista

By: Qamar Jalalvi

Re: Ahista Ahista

What a collection of 'ahista ahissta'. Wah wah.......wah.
Weldone Mirabbas.