**Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga
Kia Kia Na Apni Zaat Par Ilzaam Aay Ga
Kesi Aziyatoon Se Guzar Jaay Ga Ye Dil
Kis Dukh Se Mere Lub Pay Tera Naam Aay Ga
Jaa To Raha Hai Dil Tere Iqraar Ki Taraf
Main Jaanta Hoon Lout Key NaKaam Aay Ga
Honton Ka Lamas De Key Mujeh Os Ny Ye Kaha
Lay Jaa Ise Safar Mein Tere Kaam Aay Ga
Jub Mustahib Hoga Duaon Ka Silsila
Ik Aur Dasht-E-Hijr Mere Naam Aay Ga**